Hai kaaton bhari ye zindagi,
dard bhari ye jaan hai,
jeena to bas naam ka hai,
hum to chalti firti laash hai.
Gham ki lehre behti hai dil mein,
aankhon mein aansu ka toofan hai,
ab to sirf aah nikalti hai,
khushi to yaha gumnaam hai.
Hai zindagi ye dushman hamari,
hum to iske na farmaan hai,
zinda to baas naam ko hai,
rooh to hamari jism se azaad hai.
aankhon mein hai gham bhara,
ab to saans lena hi jeene ka bahana hai,
lad rahe hai is badnaam zindagi se,
maut bhi humse dushwaar hai.
Na koi hai saat dene ko,
na koi hai paas lene ko.
bardaasht karna hai apne aap mein,
ab to har kadam hamara gunaah hai.
Hai khuda bhi wo rutha humse,
pata nahi kyu humse hi sab anjaan hai,
ab to saans lena hi jeene ka bahana hai,
hum to kabse murdo mein shumaar hai.
No comments:
Post a Comment